Laut Aana Lyrics Karan Aujla | Avvy Sra

Lauta Aana Lyrics is the latest Punjabi song featuring with Karan Aujla and Tanu Grewal. Laut Aana song sung by Karan Aujla.

Song Details:
Song:
Laut Aana
Singer: Karan Aujla
Music: Avvy Sra
Lyrics: Karan Aujla
Label: DRJ Records

Lauta Aana Lyrics

Bade kambakht ho aap
Namaz ke waqt bhi yaad aate ho
Bade kambakht ho aap
Namaz ke waqt bhi yaad aate ho
Agar aapko yeh laga to bilkul galat laga
Ki aap khuda ke baad aate ho
Ki aap khuda ke baad aate ho

Tera pyar mere liye jhooth sahi
Tu nafrat ka to pakka tha
Tu jhooth kabhi nahi bolega
Tera yahi jhooth hi saccha tha

Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi accha tha
Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi accha tha

Jab is baar tum aaoge
Woh baat nahi hogi
Agar yeh raat nahi hogi
To woh mulaqaat nahi hogi

Haan kyon ki raat ko tere sath
Teri aukaat nahi hogi
Tujhe pata thi meri mazboori
Par tu kaun sa baccha tha

Teri dua me shammil aur koyi
Par tu to mera matha tha

Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi achha tha
Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi achha tha

Jis kisi ke naam hai tu
Tujhe mod ke aayenge
Tere bane huye rishte
Na tod ke aayenge

Dil kiya to bol dena
Tujhe chhod ke aayenge
Yeh mod chala aur tod chala
Iss baar bhi tera pakka tha

Tum bhool gaye ke mai taash hoon
Tu isi taash ka patta tha

Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi achha tha
Tera laut aana bhi bura nahi
Tera chhod jaana bhi achha tha

Jab pyaar tha tab baat aur thi
Ab to aap vyapaar kar rahe hai
Jab pyaar tha tab baat aur thi
Ab to aap vyapaar kar rahe hai

Tabhi to jaate wakht
Nuksaan nafa bol diya tha
Aap kabhi apni kamiya hi nahi bole
Warna khuda ke saamne kabool hai
To teen dafa bol diya tha
Teen dafa bol diya tha

Jaise hume koyi nahi mila
Aapko bhi sabhi nahi milenge
Khuda haafiz aujla ji
Aaj ke baad kabhi nahi milenge
Kabhi nahi milenge

Laut Aana Video Song

Leave a Comment